Dosti

catering social, welfare and cultural needs of seniors of Indian cultural background

Dosti

Kadam ruk gaye jab pahunche hum bazaar mein,

Bik rahe the rishte, khule aam vyapar mein.

 

Kaanpte hoton se humne poocha,

“Kya mol hai rishton ka?”

 

 

Dukandar bola:

“Kaunsa loge?

Bete ka du, yaa baap ka?

Behen ka ya bhai ka?

Kaunsa loge?

 

Insaniyat ka du, ya Pyaar ka?

Maa ka ya vishwas ka?

Babuji, kya du..bolo toh sahi…

Chup chaap khade ho, muh kholo toh sahi.

 

Maine darr ke pucha:

‘Dosti’ ka rishta?

 

Dukaandar namm aankhon se bola:

“Sansaar issi rishte par toh tika hai babuji.

Maaf karna

 

Yeh rishta bikau nahi hai,

Iska koi mol nahi laga payega,

Par jis din yeh bik gaya…

Uss din yeh sansaar ujad jayega…

 

 

DEDICATED TO ALL THE LOVELY FRIENDS

 
 
 
 Kawal Bhagat.